Aaya hai to ruk bhi ja

akif-poetry

Aaya hai to ruk bhi ja, jaan-e jigar baat kar
Aa ab sukhan aazma, ab raat bhar baat kar

Ik raat ki baat hai, barsaat ki raat hai
Daikhon tri reh guzar, to hai kidhar baat kar

To kyun hai mujh se khafa, yeh raah hai kyun judda
Tairay liye hi hua mein dar badar baat kar

Mein hon tra raazadan, to hai mra aaina
Phir kyun hai yeh talkhiyan, aisa nah kar baat kar

Dhoonday tujhe yeh nazar, baatein tri khoob tar
Jo aaj phir ho assar, ae ba assar baat kar

Arsalan ahmed akif

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments