The ghazal
Read it in Urdu script-
Yaqeen nahi to mohabbat ko aazmaata ja Luta khuloos, wafaon ke geet gaata ja
-
Taqaza tujh se agar kar rahi koi mumtaz Dil aagrah hai mehal iss pay too banata ja
-
Baja ke hum ne tujhe toot kar hai saraha, par Ab iss qader bhi nahi rooh mein samata ja
-
Nah ho ke baad mein mumkin nahi ho tairay liye Abhi se mujh se zara faasla berhata ja
-
Tera naseeb hoon jaisa bhi hoon samaitt mujhe Bidak nah mujh se too hans kar gilaay lagaata ja
-
Mein tairay baad bhala jee ke bhi karoon ga kya Chala hai too to diya saans ka bujhata ja
-
Kabhi shareek tha hasrat naffa tha ya nuqsaan Nahi hai ab to kahin par bhi tera khatah, ja
Submitted by Rasheed Hasrat


