The ghazal
Read it in Urdu script-
Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein Diye jal rahay hain umeed-e sehar mein
-
Bohat se kathan rastay hain magar tum Charaghoon ko bujhnay nah dena nagar mein
-
Batati hai be chain palkon ki uljan Dareechay khulay hi rahay raat bhar mein
-
Uthatay uthatay mein ab thak chuka hon Bohat aaye pathar meri rah guzar mein
-
Nagar ki udasi batati hai har roz Bohat se hain Akif sitam gir nagar mein
-
Arsalan Ahmed Akif
Submitted by ارسلان احمد عاکف


