Husn o doulat hain aarzi aakhir

husn-dolat-poetry

Husn o doulat hain aarzi aakhir
Khaak honi hai dilkashi aakhir
Naam, mansab, urooj, shohrat bhi
Sab yeh hotay hain mousmi aakhir
Kyun ranjida ho unkay jane par
Panchhi hotay hain hijarti aakhir
Aik jugno mera hum nafs bana
Chaatt gayi saari tayragi aakhir
Talkh goyon ki haar lazim thi
Mein ne sadhi thi khamshi aakhir
Shaam mujh se udhaar mangi hai
Tum bhi niklay ho matlabi aakhir
Aah dil par bhi log wah bolein
Kaisi aafat hai shairi aakhir ?
( Poet : Tariq Iqbal Haavi )

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments