The ghazal
Read it in Urdu script-
Hamein be feham jahan walay shah kehte hain Hamaray paas hai kya khwamkhwa kehte hain
-
Zara se log to aalam panah kehte hain Kabhi kabhi nahi kehte wagerna kehte hain
-
Barray ajab hain marey shehar ke sukhan parwar Meri har aik hamaqat pay wah kehte hain
-
Dareechay to hain salamat be noor kyun hain log Safaid ko bhi hamesha siyah kehte hain
-
Yeh duniya walay tamasha lagatay hain har roz Jo apni choti mohabbat ko chaah kehte hain
-
Hain log sab hi ajeeb o ghareeb se Akif Ke khud hi chout lagatay hain aah kehte hain
-
Arsalan ahmed akif
Submitted by ارسلان احمد عاکف


