Ab chalay bhi aao, ke shaam dhalnay lagi hai

ghazal shayri

Ab chalay bhi aao, ke shaam dhalnay lagi hai
Aftaab dhalnay ko hai, aur shama julne lagi hai

Ik umeed laga betha hon, tujh se milnay ki mein
Fursat miley to aa jana, warna tanhai liptaine lagi hai

Meri khamoshi se, nah jane kya kya bikhar gaya
Aur to aur, mere ghar ke dar o deewar hilnay lagi hai

Jab se rootha hai mujh se ton, tab se ruthi hai barsaat
Aisi khush hui yeh zameen, ke khaak urnay lagi hai

Jab se mili khabar, tairay lout anay ki mujhe
Tab se ranjoor baghiche par, bahar barsne lagi hai

Tairay sang dekh kar mujhe, jinhein azeeat pahunchti thi kal
Tairay baad wohi duniya, mujh pay hansnay lagi hai

Tujhe hai andaza, ke kis haal mein hai gul
Jism to tham gaya hai, bas rooh niklny lagi hai

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments