Aaj Thi Zaroorat Kisi Yaar Ki

kisi yaar ki

Aaj Thi Zaroorat Kisi Yaar Ki
Kisi Apne Kisi Gham Khaar Ki

Kis Tarap Mein Bahe Ansoo
Kami Thi Shayad Pyar Ki

Doonda Hal Unkee Mushkilaat Ka
Sheikh Hotay To Baat Thi Ikhtiyar Ki

Bhool Kar Mout, Mangi Kher Unkee
Hafta Waar Ki Ibadat Parvar-digaar Ki

Numan Mangta Apne Liye To Mil Jata
Magar Aazmiash Thi Dil E Be Qarar Ki

Chal Urr Ja Ray Panchhi

Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah
Chal Urr Ja Ray Panchhi…

Khatam Hue Din Is Daali Ke Jis Par Tera Basera Tha
Aaj Yahan Aur Kal Ho Wahan Yeh Jogi Wala Phera Tha
Yeh Teri Jageer Nahi Thi Chaar Gharri Ka Dera Tha
Sada Raha Hai Is Duniya Mein Kis Ka Aabb O Dana
Chal Urr Ja Ray Panchhi Ke Ab Yeh Dais Sun-hwa Be Ganah
Chal Urr Ja Ray Panchhi…
Read More […]

Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala

unke khat

Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala
Dhoondata Hon Wohi Chehra, Jo Nah Mila

Rashk Uss Par, Jis Ney Paaya Unhen
Unke Chahanay Walon Se Kya Gilla

Is Gham Mein Sirf Mein Nahi Saqi
Aaj Mehfl Mein Zahid Ko Bhi Pila

Resham Se Naazuk Mohabbat Ki Quba
Jo Phatay Ik Baar Dobarah Nah Sulaa

Gul Farosh Ke Baagh Mein Bahhar Aayi
Koi To Bachaaye! Ghulaab Khula

Yaad Karne Hain Unke Ehad Sabhi
Khudaaraa Noman , Khat Abhi Nah Jala

Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum

yaad-e janaan

Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum
Khud Ko Rahay Ujartay Yaad E Janan Mein Hum

Mushkil Nah Ho Yaad Karne Mein, Jaun Ki Terhan
Uska Chehra Rahay Abharte Yaad E Janan Mein Hum

Is Shehr-e Biyabaan Mein, Dekh Kar Mout Apni
Bhage Janan Janan Pukaartay Yaad E Janan Mein Hum

Roye Morak Ke Samnay, Sisak Sisak Kar Badshah
Apni Shahi Ka Libada Utaartay Yaad E Janan Mein Hum

Baithy Woh Maghrour Samnay, Liye Anaa Hum Sath Mein
Dekhte Unhen, Kisi Ka Buut Nikharty Yaad E Janan Mein Hum

Koi Mere Liye Tujhsa Nhi Tha

Koi Mere Liye Tujhsa Nahi Tha
Sitam Ye Hai Tu Hi Apna Nahi Tha

Bagair Uske Mujhe Jeena Padega
Kabhi Meine To Ye Socha Nahi Tha

Meri Aankho Ka Dhoka Tha Yaqeenan
Kabhi Bhi Ishq Ye Sachha Nahi Tha

Ye Raaste Har Qadam The Saath Mere
Mein Tanha Ho Ke Bhi Tanha Nahi Tha

Zamane Ke Liye Hoga Wo Mohsin
Mere Haq Mein Kabhi Acha Nahi Tha

Muqaddar Ban Gaya Zamreen Wo Hi
Jise Meine Kabhi Chaha Nahi Tha
Read More […]