Koi ehley nazar nahi lagta
Is liye mooatbar nahi lagta
Sab diye hum ne khud bujha daaley
Ab hawaon se dar nahi lagta
Khud bhi woh apni qader o qeemat se
Is qader be khabar nahi lagta
Tab parinday bhi lout jatay hain
Pair par jab samar nahi lagta
Khauf woh baam o dar ke andar hai
Jo pass baam o dar nahi lagta
Ajnabi ajnabi se chehray hain
Yeh mujhe apna ghar nahi lagta
Le ke jaye ga umar , wehshat ka
Silsila mukhtasir nahi lagta