246 poems · 41 poets
Abhi to hum ne apni dunya basaani thi Aur ik dastan bhi tujhe sunani thiTum ne pehlay hi khatam kar diya sab kuch Abhi to mein ne ghar bhi baat manwani thi
Ajab baatein khatakti hain, mujhe be chain rakhti hain Meri sansen atakti hain, mujhe be chain rakhti hainMohabbat mar chuki lekin, dil o dimagh mein ab tak Teri yaadain bhatkati hain, mujhe be chain rakhti hain
Muskurao bahhar ke din hain Gul khilao bahhar ke din hainDkhtran chaman ke qadmon par Sir jhukao bahhar ke din hain
Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat Kha gayi din ke ujaloon ko yahan chai raatShab ke daman mein faqat khawab hai mehroomi hai Hum ko mafhom yeh samjhane chali aayi raat
Bas rahay hain is nagar mein jinn o insaan aik sath Yeh riwayat chal pari hai zulm o ihsaas aik sathAb tawaqqa hum se rakhna kher khawahi ki abas Hum ne saaray toar daaley ehad o paimaan aik sath
Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi Bana kar day zara ik jaam saqiPila woh jaam jo madhosh kar day Miley dil ko bhi kuch aaraam saqi
Lanat ho hukmraanon ke aisay nizam par Iflaas mantazar hai jahan gaam gaam parHar roz qeematon mein izafah hai be panah Joon tak bhi rengti nahi ibn-e ghulam par
Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu Sada rehtay hain tairay hijar se mansoob yeh aansuMey se bhi kahin barh kar, mujhe makhmoor rakhtay hain Pasandeeda hai un dinon mera mashroob yeh aansu
Tamam umar ussay mujh se ikhtilaaf raha Raha woh ghar mein mere par mere khilaf rahaKhabar nahi ke tre mann mein chal raha yai kya ? Teri taraf se mera dil hamesha saaf raha
Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya Apni kashti ka purana na khuda rehne diyaLoot ka tha maal aakhir baantna to tha zaroor Hum ne apna le liya bakhra, tera rehne diya
Khushbu se rang, rang se khushbu nikaal day Dil ko bujha ke shehr-e tamanna ujaal dayApne amal ka aap hi acha sa naam rakh Kam zarfi nigah ko husn ma'al day
Woh mera dost mere haal se aagah to ho Na sahi sach mein magar khawab mein hamrah to hoKuch assar unn pay mere aah o faghan ka yaaro Ho nah ho, phir bhi mere lab pay koi aah to ho
Honton pay kabhi un ke mra naam hi aaye Aaye to sahi barsar e ilzaam hi aayeHeran hain lab basta hain dilgeer hain ghunche Khushbu ki zabani tra pegham hi aaye
Kab hum ne kaha tum se mohabbat hai, nahi to Dil hijr se amaada wehshat hai, nahi toBaatein to bohat karte hain hum kood uchhal kar Iss ehad mein mazdoor ki izzat hai, nahi to
Dekha hai jo ik mein ne wohi khawab bohat hai Warna to wafa dostoo! Kamyaab bohat haiYeh dil ki zamee banjar o weraan pari thi Thori si hui tujh se jo sairaab bohat hai
Badlay hue halaat se dar jata hon aksar Sheeraza millat hon, bikhar jata hon aksarMein aisa safena hon ke saahil ki sada par Tufaan ke seenay mein utar jata hon aksar
Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apnaTumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna
Khamosh subahen, udas shaamein, tera pata mujh se poochti hain Batau ab kya ke yeh fizayen palat ke kya mujh se poochti hainUdas chiryen jo din ko danay ki khoj mein theen, hain lout aayi Kahan he shaakh shajar ke jiss par tha ghonsla mujh se poochti hain
Bank mein khata mohabbat ka bhi khola jata Ishq liezer ko har ik lamha tatola jataCheck bharta jo kabhi cash karanay ke liye "Khatah khaali hai" barray pyar se bola jata
Maa woh chhat hai bina jis ke ghar nahi hota Baap deewar hai jo chhat ka pilar hota haiKoi to hai ke jo har roz yaad karta hai Woh jis ki mehafilon mein mera zikar hota hai
Showing 80 of 246