Bta to di hai magar zeisat baar jaisi thi
Tamam umar meri intezaar jaisi thi
Hayaat kya thi, faqat inteshaar mein guzri
Gahe thi zakham si gaahay qarar jaisi thi
Mila hoa meri chaye mein raat kuchh to tha
Ke shab gaye meri haalat khumar jaisi thi
Tumhari yaad ki khushbu ke dairon mein raha
Agarchay zard rahi, par bahhar jaisi thi
Tumahray hijr ke mausam mein, kya kahoon haalat
Kabhi ujaar, kabhi to singhar jaisi thi
Rahi hai gird mere halqa apna tang kiye
Hayaat jaisay kisi ik hisaar jaisi thi
Woh raat jis se mein shab bhar lapat ke rota raha
Rasheed shab thi magar ghamgusaar jaisi thi
Rasheed Hasrat