The ghazal
Read it in Urdu script-
Tha be sakt hua main uchala gaya tha jab Be rozgaar ghar se nikala gaya tha jab
-
Nakamiyoo ne mujh mein barri toar phor ki Mehroomion ki goad mein dala gaya tha jab
-
Us ne to saaf anay se inkar kar diya Ahqar mananay, hazrat e aala! Gaya tha jab
-
Tab uss ki zid mein tha ke nah tha mumkinaat mein Bachay ki terhan daant ke taalla gaya tha jab
-
Uss din se yeh wujood andheron ki zad mein hai Mujh ko akela chore ujala gaya tha jab
-
Apni zabaan kaat ke jana para mujhe Ik fard sath bolnay wala gaya tha jab
-
Tab tak mera wujood hi gul bhi chuka huzoor Muddat ke baad aa ke sanbhala gaya tha jab
-
Uss ke gilaay mein ghair ki baho ke haar thay Le kar khuloos o pyar ki malaa gaya tha jab
-
Ab hain semathnay mein tumhe hichkichaten Tab kyun nah theen rasheed ko gaala gaya tha jab
-
Rasheed hasrat
Submitted by Rasheed Hasrat


