Gharz parasti mein had se guzar nahi jana
Mujhe bigaar ke tum khud sanwar nahi jana
O shoq o naz se zulfein sanwarnay walay
Meri hayaat ki manind bikhar nahi jana
Bohat se log meri zindagi mein aaye, gaye
Meri nigah se tum bhi utar nahi jana
Munafiqon mein rahen ge to kaisay guzray gi
Yeh janna tha zaroori magar nahi jana
Hazaron qaafley manzil se ho gaye mahroom
Qasoor apna magar rahabar nahi jana
Hum ahal haq, baatil ko kabhi haq nahi samjhay
Andheri raat ko hum ne sehar nahi jana
Rafaqat aur masafat mein jor baqi rahay
Akela chore ke mujh ko guzar nahi jana
Baseerat aur basarat mein farq kon kere
Qamar thay hum pay kisi ne qamar nahi jana
Ellahi! Qoum ki kashti tairay hawalay hai
Keh nakhuda ne bhanwar ko bhanwar nahi jana
Waseem ki terhan is rekhta ne jaane safar
Tumahray sath safar ko safar nahi jana
Rekhta Pataulvi