Tum Ko Is Se Kya

Toti Hai Meri Neend Magr Tum Ko Is Se Kya
Bujte Rahe Hwaon Se Dar Mgar Tum Ko Is Se Kya
Tum Moj Moj Masle Saba Ghomte Raho
Kat Jayen Meri Soch Ke Par, Tum Ko Is Se Kya
Tum Ne Tu Thak K Dasht Mai Kheme Lga Liye
Tanha Kate Kisi Ka Safr, Tum Ko Is Se Kya

Farz Karo Ham Ahle Wafa Hon

Ibn-e-Insha-Urdu-Poetry

Farz Karo Ham Ahle Wafa Hon Farz Karo Dewane Hon
Farz Karo Ye Dono Batain Jhoti Hon Afsane Hon

Farz Karo Ye Ji Ki Bpta, Ji Se Jor Sunai Ho
Farz Karo Abi Aur Ho Itni, Adhi Ham Ne Chupai Ho

Farz Karo Tumhain Khush Karne Ke Dhonde Ham Ne Bhane Hon
Farz Karo Ye Nain Tumhare Sach Much K Mekhane Hon

Farz Karo Ye Rog Ho Jhota, Jhot Pet Hmari Ho
Farz Karo Is Pet K Rog Mai Sans Bi Ham Par Bhar Ho

Farz Karo Ye Jog Bjog Ka Ham Ne Dhong Rchaya Ho
Farz Karo Bas Yehi Haqeqat Baqi Sab Kuch Maya Ho

Tang A Chuke Hain

Sahir_Ludhianvi

Tang A Chuke Hain Kashmkash Zindagi Se Ham
Thukra Na Dain Jahan Ko Khain Be Dili Se Ham
Mayusi Maal Mohabat Na Pochye
Apno Se Paish Ayen Hai Begangi Se Ham
Lo Aj Ham Ne Tor Dya Rishta’e Umeed
Lo Ab Kabi Gila Na Karain Gay Kisi Se Ham
Ubrain Gay Ik Bar Abi Dil Ke Walwaly
Go Dab Gye Hai Bar Gham Zindagi Se Ham
Gar Zindagi Mai Mil Gaye Ham Itfaq Se
Poche Gay Apna Hal Tri Be Bsi Se Ham
Allah Re Fareeb Musheet Ke Aj Tak
Dunya Ke Zulm Sehte Rahe Khamshi Se Ham

Main Ne Tumhain Socha Hai

Jo Baat Nahi Karte
Un Bolte Rangon Mai
Main Ne Tumhain Socha Hai
Jo Dil Se Guzarte Hain
Un Ajnabi Raston Mai
Mai Ne Tumhain Dekha Hai

Kehne K Liye Tum Se
Batain Tu Bahot Si Hain
Alfaz Nahi Milte
Jo Meri Nazar Main Hain
Is Shehr K Baghon Mai
Wo Phol Nahi Khilte

Main Ne Tumhain Jana Hai
Azhar K Rishton Se
Jis Tarah Koi Banda
Dharti Pe Nazar Dale
Ik Bar Khuda Ho Ke

Poet: Amjad Islam Amjad