The ghazal
Read it in Urdu script-
Wo Koi Aur Na Tha, Chand Khusk Patay Thay Shjar Se Toot Ke Jo Fasal-e Gul Pe Roye Thay
-
Abi Abi Tumhain Socha Tu Kuch Na Yaad Aya Abi Abi Tu Ham Aik Dosre Se Bichre Thay
-
Tumhare Baad Chaman Par Jab Ik Nazar Dali Kali Kali Mai Khazan Ke Chiragh Jalte Thay
-
Tmam Umar Wafa Ke Gunahgar Rahe Ye Aur Baat Ke Ham Aadmi Tu Ache Thay
-
Shab-e Khamosh Ko Tanhai Ne Zuban De Di Phar Gonjte Thay Dashat Sansnate Thay
-
Wo Aik Bar Mary Jin Ko Tha Hayat Se Pyar Jo Zindagi Se Graizan Thay Roz Marte Thay
-
Naye Khayal Ab Aate Hai Dhal Ke Zahan Mein Hmare Dil Mai Kabi Khait Lehlhate Thay
-
Ye Irtiqa Ka Chalan Hai K Har Zmane Mein Purane Log Naye Admi Se Darte Thay
-
Nadeem Jo Bi Mulaqat Thi Adhori Thi K Aik Chehray Ke Peche Hzar Chehray Thay


