Takra Gya Koi – Urdu Funny Ghazal

Funny-Ghazal

Yun Hi Zindagi Ki Rah Mai Takra Gya Koi
Khud Neche Utar Kar Muj Ko Latka Gya Koi

Rasman Hi Mai Ne Poch Lia Kuch Khaye Jnab
Ghar Main Jo Kuch Pka Tha Sab Kha Gya Koi

Wegan Mai Bari Zoor Se Mai Cheekhi
Mere Paon Ko Jab Sendal Se Dba Gya Koi

Muje Bra Mza Aya Kela Khate Hoye
Lekin Afsos Hoya Jab Road Par Phsal Gya Koi

Jab Cheeting Karte Hoye Mai Ne Kisi Ko Pagal Kha
Bari Khushi Se Jab Jhom Utha Koi
Read More […]

Baras Jao Kisi Din – Amjad Islam Amjad Ghazal

Chehray Pe  Mere Zulf Ko Phlao Kisi Din
Kya Roz Garjte Ho, Baras Jao Kisi Din

Razon Ki Tarah Husn Ki Barish Main Naha Lo
Badal Ki Tarah Jhom Ke Ghir Aao Kisi Din

Khusbo Ki Tarah Guzro Meray Dil Ki Gali Se
PHolon Ki Tarah Muj Pe Bikhar Jao Kisi Din

Guzrain Jo Mere Ghar Se Tu Ruk Jaen Sitare
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kis Din

Main Apni Har Ik Sans Usi Raat Ko De Doon
Sar Rakh Ke Mere Senay Pe So Jao Kisi Din

Har Rasta Sunsan Hua – Mohsin Naqvi Ghazal

mohsin-naqvi-ghazal

Jab Se Us Ne Shehr Ko Chora Har Rasta Sunsan Hua
Apna Kia Hai, Sare Shehr Ka Ik Jese Nuqsan Hoa

Sehra Ki Munh Zor Hwain, Auron Se Mansob Huen
Muft Main Ham Awara Thehray Muft Main Ghar Sunsan Hua

Mere Hal Pe Ye Hairat Kesi, Dard Ke Tanha Mosam Main
Pathar Bi Ro Parte Hain, Insan Tu Phir Insan Hua

Yun Bi Kam Aamez ha Mohsin Wo Is Shehr Ke Logon Se
Lekin Mere Samney Aa Kar Aur Bi Kuch Anjan Hoa

Shehr Tera Chor Jayen Ham – Habib Jalib Ghazal

habib-jalib-ghazal

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham
Lekin Ye Kia K Shehr Tera Chor Jayen Ham

Mudat Hoyi Hai Koye Butan Ki Tarf Gaye
Awargi Se Dil Ku Kahan Tak Bachyen Ham

Shayad Baqed-e Zeesat Ye Sa’at Na Aa Sake
Tum Dastan-e Shoq Suno Aur Sunain Ham

Be Noor Ho Chuki Hai Bahut Shehr Ki Faza
Tareek Raston Main Kahin Kho Na Jayen Ham

Us Ke Baghair Aaj Bahut Ji Udas Hai
Jalib Chalo Kahin Se Usay Dhond Layen Ham

Yun Hi Intezaar Karta Raha

urdu-ghazal-shayari

Yun Hi Intezaar Karta Raha Aur Waqt Dhalta Raha
Mere Intezaar Ka Soraj Har Lamha Pigalta Raha

Tay Tu Ye Hua Tha Ke Payen Ge Aik Hi Manzal
Bech Rah Main Wo Mukr Gaya Suye Manzal Main Chalta Raha

Kabi Us Ke Liye Hans Diye Kabi Us Ke Liye Ro Diye
Wo Khud Ko Tu Na Badal Saka Bas Muj Ko Hi Badalta Raha

Ab Tak Kese Chup Raha Ye Mat Poch Majid
Waqt Muje Behlata Raha Or Main Behlta Raha

Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Wo Ju Doodh Shahid Ki Kheer Thi
Wo Jo Narm Masl-e Hareer Thi
Wo Jo Aamle Ka Ichar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha

Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Jo Hirn Ke Seikh Kabab Thay
Wo Jo Aap Apna Jawab Thay
Wo Jo Quettay Ka Inar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha

Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Wo Jo Saib Zeenat-e Bagh Thay
Wo Jo Shakh Shakh Chiragh Thay
Wo Jo Aalon Ka Bukhar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha

Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Wo Raqeeb Ke Jo Baghair Thi
Wo Jo Chand Raat Ki Sair Thi
Wo Jo Ihd-e Fasl-e Bahar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha

Muje Sab Hain Yad Zara Zara
Tumhain Yaad Ho Ke Nad Yaad Ho

By Anwar Masood.

Mohabbat Yoon Nahi Hoti

Suno !!

Mohabbat Yoon Nahi Hoti

Kisi Ka Naam Lene Se
Kisi Ko Thaam Lene Se
Kisi Ke Paas Jaane Se
Kisi Ke Door Jane Se

Mohabbat Ka Janam Nahi Hota
Jab Tak Dilo’n Ka Milan Nahi Hota

Suno !!
Mohabbat Yoon Nahi Hoti

Ye Raabta Hai Dil Se Dil Ka
Ye Naam Hai Be.tarteeb Dharkanoun Ka
Mohabbat Tou Aankhon Se Bayan Hoti Hai
Ye Tou Dil Ki Zubaan Hoti Hai

Suno !!
Mohabbat Yoon Nahi Hoti…*

Submitted By: SanWaL MAhI