Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dhekte Hain
So Us Ke Shehr Mai Kuch Din Thehr K Dekhte Hain
Suna Hai Din Ko Usay Tatlian Stati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ki Syah Chashmgi Qayamat Hai
So Us Ko Surma Farosh Ah Bhar K Dekhte Hain
Suna Hai Bole Tu Baton Se Phol Jarte Hain
Ye Baat Hai Tu Chalo Baat Kar K Dekhte Hain
Suna Hai Raat Ko Usay Chand Takta Rehta Hai
Sitare Baam-e Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
Suna Hai Us Ke Badan Ki Tarash Aesi Hai
K Phol Apni Qaba Mai Qatar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Ai’na Tmsal Hai Jbain Us Ki
Jo Sada Dil Hai Usay Ban Sanwar K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ke Labon Se Gulab Jalte Hain
So Ham Bi Bahar Pe Ilzam Dhar K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ko B Hai Shair-o-shayari Se Shugf
Go Ham Bi Maujzay Apne Hunr K Dekhte Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Halon Se
So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain
Khanian Hi Sehmi Sab Mubalghe Hi Sahi
Agar Wo Khwab Hai Tu Ta’aber Kar Ke Dekhte hain
Ab Us Ke Shehr Mai Thehrain K Koch Kar Jayen
Faraz Aao Sitare Safar Kar K Dekhte Hain
Poet: Ahmad Faraz