Jawab ham nahi sunty

Jawab ham nahi sunty, bata ye aey qasad
Hoa qabol hamara salam bhi ke nahi
Bhichar ke tujh se ae sanam jo shaad ho sakay nhِin
Hazaar shukar teri aankh ke diye bujhe nahi
Anaa ki daud mein sada ko paish paish hmm rahay
Yeh apne haath ka likha, gilah naseeb se nahi
Kisi ke hijar mein mujhe ik aisa moujza hua
Khizaa mein rakh rahay thay jo ab aisay silsilay nhِin
Likhay hain lafz jo faqat usi ke naam ke likhay
Usi ke naam ke hain harf jo abhi likhay nahi
Jahan pay chore kar gaya tha too wahein kharray rahay
Hazaar aandhiyan chalein magar qadam hattay nhِin
Kitaab waqt ke waraq rasheed ulat ke dekh le
Yeh zabt ka he imteha agarchay hauslay nahi
Go par to nahi phir bhi azad nahi karna
Na shaad rakho mujh ko tum shaad nahi karna
Qad kaath agar do ge, samjhun ga tumhe bona
Bona hi rakho mujh ko shamshad nahi karna
Read More […]
Jo log samandar mein bhi reh kar rahay pyase
Ik abar ka tukda inhen kya day ga dilasay
Mana ke zaroori hai nigehbani khudi ki
Barh jaye nah insaan magar apni quba se
Read More […]
Agarchay dushwar tha magar zair kar liya tha
Anaa ka rasta sahal samajh kar jo sir liya tha
Woh kahkashaon ki had se agay kahin basa he
Talabb mein jiss ki zamee pay boseedah ghar liya tha
Read More […]
Sakoon woh le gaya tha sath, ab aaraam kho baithy
Yeh kis se par gaya paala ke dil se haath dho baithy
Pareshaa dhoondtay phirtay hain bachay boorhay baba ko
Udhar waqton ke qisson mein hain gum sm yaar do baithy
Read More […]
Raat ko raat hi is baar kaha hai hum ne
Hum ne is baar bhi tauheen e adalat nahi ki