Skip to content
SadPoetry
EN
Jo log samandar mein bhi reh kar rahay pyase — Wasif Ali Wasif

Jo log samandar mein bhi

Wasif Ali Wasif 7 couplets
  1. Jo log samandar mein bhi reh kar rahay pyase Ik abar ka tukda inhen kya day ga dilasay

  2. Mana ke zaroori hai nigehbani khudi ki Barh jaye nah insaan magar apni quba se

  3. Barson ki masafat mein woh tay ho nahi satke Jo faaslay hotay hain nigahon mein zara se

  4. To khoon ka taalib tha tri pyaas bujhi hai ? Mein paata raha nashonuma aab o sun-hwa se

  5. Mujh ko to marey apne hi dil se hai shikayat Duniya se gilah koi nah shikwah hai kkhuda se

  6. Dar hai ke mujhe aap bhi gumraah karen ge Atay hain nazar aap bhi kuch rahnuma se

  7. Dam bhar mein woh zameen boss ho jati hai wasif Taamer nikal jati hai jo apni bina se

Report a mistake

More by Wasif Ali Wasif

All poems