Dil se haath dho baithy

urdu ghazal

Sakoon woh le gaya tha sath, ab aaraam kho baithy
Yeh kis se par gaya paala ke dil se haath dho baithy

Pareshaa dhoondtay phirtay hain bachay boorhay baba ko
Udhar waqton ke qisson mein hain gum sm yaar do baithy

Barron ke faislon ko taall kar karte thay mann maani
Abhi hum ro rahay hain dostoo taqdeer ko baithy

“nashistain to nahi hoti hain bzmِ yaar mein makhsoos”
Kahan uthte hain qurb yaar mein ik baar jo baithy

Rihayi zulff se mehboob ki hum ne to pali thi
Nahi thi aُth ke jane ki zara bhi taab, so baithy

Kisi ne lout anay mein zara si der kar daali
Palat aaya hai woh, hum jis ghari ouron ke ho baithy

Abhi tak yaad aata hai bicharne ka koi manzar
Bohat chaha karen hum zabt, par ankhen bigho baithy

Kharray hum aik muddat dil ke zakhamo ke mdave ko
Uttha armaan ka ik na rava tufaan to baithy

Rasheed hasrat jahan tak zindagi hai, aarzoyeen hain
Yahan hum aُth gaye ae dostoo armaan woh baithy

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments