Go par to nahi phir bhi azad nahi karna
Na shaad rakho mujh ko tum shaad nahi karna
Qad kaath agar do ge, samjhun ga tumhe bona
Bona hi rakho mujh ko shamshad nahi karna
Tum aam si larki ho, mein aam sa larka hon
sheeren nah samajh betho, farhaad nahi karna
Aisay nah ujar jana dekho to kahin tum bhi
Bastii hi koi dil ki abad nahi karna
Jo zehen ke reshon mein rich bas ke raha is se
Kaisay yeh karoon wada ab yaad nahi karna
Is shehar ke haakim ne yeh hukum kya jari
Kuch bhi ho koi hargiz faryaad nahi karna
Bas aik anaa payi, ghar apna luta baithy
Ae betio! Ae beton! Azdaad nahi karna
Tahazeeb bta day gi, tum kitney mohazab ho
Zahir hi kisi par tum asnad nahi karna
Kuch waqt kabhi hum ne ik sath guzaraa hai
Ab jor o jfaa hasrat, be daad nahi karna