Bhichar ke tujh se ae sanam jo shaad ho sakay nhِin
Hazaar shukar teri aankh ke diye bujhe nahi
Anaa ki daud mein sada ko paish paish hmm rahay
Yeh apne haath ka likha, gilah naseeb se nahi
Kisi ke hijar mein mujhe ik aisa moujza hua
Khizaa mein rakh rahay thay jo ab aisay silsilay nhِin
Likhay hain lafz jo faqat usi ke naam ke likhay
Usi ke naam ke hain harf jo abhi likhay nahi
Jahan pay chore kar gaya tha too wahein kharray rahay
Hazaar aandhiyan chalein magar qadam hattay nhِin
Kitaab waqt ke waraq rasheed ulat ke dekh le
Yeh zabt ka he imteha agarchay hauslay nahi