Awam bhook se dekho nidhaal hai ke nahi?
Har aik chehray se zahir malaal hai ke nahi?
Tamam cheezon ki qeemat barhai jati rahi
Ghareeb maarny ki iss mein chaal hai ke nahi?
Pahonch se pehlay hi bahar tha aish ka saman
Fallak ke paas abhi aatta, daal hai ke nahi?
Jo barq-e mehngi batata bِlon ko pharta tha
Kُchh apne ehad mein iss ka khayaal hai ke nahi?
Hamaray jism se nocha hai gosht, khoo choosa
Abhi yeh dekhnay aaya hai khaal hai ke nahi?
Woh jiss ke ehad mein maa baap beech den bachay
Tumhe kaho ke yeh wajh-e wabaal hai ke nahi?
Ththr ke sard ilaqon mein mar rahay hain log
Zuba se phuto tumhe kُchh majaal hai ke nahi?
Kiya tha ehad bahaali ka, cheen li roti
Ghareeb ke liye jeena muhaal hai ke nahi?
Namona samnay rakhtay hain hum khaleefo ka
Tumahray samnay koi misaal hai ke nahi?
Dukhaay baagh harey hum ghareeb logon ko
Awam pehlay se maskhdoosh haal hai ke nahi?
Ameer-e shehar ne ankhen rakhi hain band rasheed
Wagerna chehra tamanchon se laal hai ke nahi?