Faqat mujh ko intezaar diya

tmam umar

Tamam umar jisay mein ne aitbaar diya
Dagha se tum ne bayak lakht us ko maar diya

Wafayen di hain usay mein ne umar bhar lekin
Silay mein us ne faqat mujh ko intezaar diya

Mujhe qareeb rakho ya ke tum rakho dori
Tumhari chaah pay hai, tum ko ikhtiyar diya

Yeh us ka khas karam hai, ataa hai maula ki
Diya shaoor mujhe aur iftikhar diya

Nahi hoon tabay agar maa ke, meri biwi ne
Ajeeb zeher mere zehen mein utaar diya

Yeh waswasa hai ke yeh khawab ya haqeeqat hai
Ameer-e shehar ne logon ko roz gaar diya

Mere wujood mein basta tha ik rasheed hasrat
So aik arsa hoa mein ne us ko maar diya

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments