Ae khuda ab to mera tu hi bharam qaim rakh
Meri aankhon ko nami di hai to num qaim rakh
Sar khameeda hai tree samnay aur yun hi rahay
Ijz barhta hi rahay, iss mein yeh kham qaim rakh
Kya kahoon mere gunahon ki nahi koi hudood
Mujh khata kar pay tu apna karam qaim rakh
Yaad mehboob ke koochy ki satati hai mujhe
Jo madeeney ka mere dil mein hai gham qaim rakh
Hum ko islam ke jhanday ke taley kar yakja
Dil mein imaan rahay, sir pay ilm qaim rakh
Teri makhlooq se mein pyar karoon, dukh bantoon
Aur badlay mein miley jo bhi sitam qaim rakh
Tu khuda mera hai maqsood mujhe teri raza
Tu hai raazi to mere ranj o alum qaim rakh
Tairay mehboob ki hai mujh ko shafaat ki aas
Kamli walay ki hai bas tujh ko qisam qaim rakh
Khaak hasrat se bhala ho gi sana khawani teri
Ijz barh kar hai mere dil mein ke kam qaim rakh