The ghazal
Read it in Urdu script-
Saqi Na Pila, Bhar Bhar Ke Mujhe Mai Se Sarokaar Nahi
-
Aata Hoon Peene, Nighahoon Se Rind Hoon , Bada Khar Nahi
-
Har Baat Main Faidey Ki Baat Karte Ho Yeh Ishq Hai Meri Jaan, Karobaar Nahi
-
Main Jan Bujh Ke Teri Batoon Main Aajata Hoon Jitna Samajhte Ho, Tum Itne Hoshyaar Nahi
-
Teri Chaha Mein Tere Daam Bik Gaye Warna Itne Aarzaan Toh Mere Ghesu e Tabdar nahi
-
Woh Din Gaye Jab Dil Main Basa Karte Thay Ab Meri Aankhoon Ko, Tera Intezaar Nahi
-
Kyon Khud Ko Barbaad Kar Rahe Ho ’Saahil‘ Tum Jante Ho, Ke Woh Wafadaar Nahi
Submitted by Shehzad Sadaruddin Saٰahil


