Dunya Mein Hun Dunya Ka Talabgar Nahi Hun
Bazar Se Guzra Hun Khredar Nahi Hun
Zinda Hun Magar Zeesat Ki Lizzat Nahi Baqi
Har Chand Ke Hun Hosh Mein Hushyar Nahi Hun
Is Khan-E Hasti Se Guzar Jaon Ga Be Loss
Saya Hun Faqat Naqsh Be Dewaar Nahi Hun
Afsurda Hun Ibrat Se Dawa Ki Nahi Hajat
Gham Ma Muje Ye Zo’af Hai Bemar Nahi Hun
Wo Gul Hun Khazan Ne Jisay Barbad Kya Hai
Uljhon Kisi Daman Se Mein Wo Khar Nahi Hun
Ya Rab Mujhe Mahfooz Rakh Is But Ke Sutam Se
Mein Is Ki Anayat Ka Talabgar Nahi Hun
Go Dawa Taqwa Nahi Dargah Khuda Mein
But Jis Se Hun Khush Aesa Gunahgar Nahi Hun
Afsurdagi-O Zo’af Ki Kuch Had Nahi Akbar
Kafir Ke Muqabil Mein Bhi Den-Dar Nahi Hun