The ghazal
Read it in Urdu script-
Unki Tekh Nigahein Dekh, Maine Kya Sar Jhuka Diya Khuda Ko Khuda Samaj Bethe, Mushrik Mujhe Bana Diya
-
Ab Kehte Hain Mujh Ko Sajda Karo, Per Unki Koi Khata Nahi Thee Mere Ishq Ki Intaha, Arsh Par Unhe Bitha Diya
-
Kisne Kaha Tha Tumhein, Behijaab Milne Aaya Karo Pehle To Sirf Aashiq Tha, Dewaana Mujhe Bana Diya
-
Apne Ishq Ki Dastaan, Thodi Ajeeb O Garib Hai Khud Toh Woh Laila Ban Na Saki, Aur Majnoon Mujhe Bana Diya
-
‘SAAHIL’ Ko Ilzaam Na Do, Saahil Ki Khata Nahi Tere Hi Taqabur Nay, Nazar Se Tujhe Gira Diya
Submitted by Shehzad Sadaruddin Saٰahil


