Payar Aata Hai Mujh Ko Tum Par

Jo Kaha Mein Ne Keh Payar Aata Hai Mujh Ko Tum Par
Hans Ke Kehne Laga Aur Aap Ko Aata Kya Hai
Read Akbar Allahabadi Poetry, ghazlas, nazams on SadPoetry.org Read, submit and share our great collection of shayari.
Akbar Allahabadi is one of the renowned poet of urdu poetry. He had great command on urdu langugage and introduced humour and sarcasm in Urdu shayari. He used simple language to convey his message effectively to the masses.
He published three kulliyats and wrote the popular ghazal “Hungama Hai Kyon Barp”. You can also submit shayari using our “submit poetry” form.
Jo Kaha Mein Ne Keh Payar Aata Hai Mujh Ko Tum Par
Hans Ke Kehne Laga Aur Aap Ko Aata Kya Hai
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chand Ruswai Tu Hai
Par Kron Kya Ab Tabiyat Aap Par Ayi Tu Hai
Dunya Mein Hun Dunya Ka Talabgar Nahi Hun
Bazar Se Guzra Hun Khredar Nahi Hun
Zinda Hun Magar Zeesat Ki Lizzat Nahi Baqi
Har Chand Ke Hun Hosh Mein Hushyar Nahi Hun
Read More […]
Ghamza Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota
Aankh Un Se Jo Milti Hai Tu Kya Kya Nahi Hota
Jalwa Naho Maani Ka Tu Surat Ka Asar Kya
Bulbul Gul Tasweer Ka Sheeda Nahi Hota
Read More […]
Raqeebon Ne Rapat Likhwai Hai Ja Ja Ke Thaane Main
Keh Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamane Main
Is Gulistan Mein Bohat Kaliyan Mujhe Tarpa Gayen
Kyun Lagi Thi Shakh Mein Kyun Bey Khilay Murjhaa Gayen
Falsafi Ko Behas Ke Andar Khuda Milta Nahi
Dor Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi