Aankh Un Se Jo Milti Hai Tu Kya Kya Nahi Hota

akbar-allahabadi-ghazal

Ghamza Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota
Aankh Un Se Jo Milti Hai Tu Kya Kya Nahi Hota

Jalwa Naho Maani Ka Tu Surat Ka Asar Kya
Bulbul Gul Tasweer Ka Sheeda Nahi Hota

Allah Bachaye Mar-E Ishq Se Dil Ko
Sunte Hain Ke Ye Aarza Acha Nahi Hota

Tashbeh Tere Chehre Ko Kya Dun Gul-E Tar Se
Hota Hai Shufugta Magar Itna Nahi Hota

Mein Naza Mein Hun Ayen Tu Ehsan Hai Un Ka
Lekin Ye Samajh Lein Ke Tamasha Nahi Hota

Ham Aah Bhi Karte Hai Tu Ho Jate Hain Badnam
Wo Qatal Bhi Karte Hian Tu Charcha Nahi Hota

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments