The ghazal
Read it in Urdu script-
Meri Ujri Hui Basti Ko Yunhi Sun-saan Rehne Do Khusihyan Raas Nahi Aati Mujhe Pareshan Rehne Do
-
Zeenat Nahi Banta To Nah Ban Mere Dil Ke Aangan Ki Par –apne Ashiyaney Par Meri Uraan Rehne Do
-
Teri Galiyo Main Yun Phirna Agar Nadani Hai To Sun Main Danash-mand Nahi Banta Mujhe Nadan Rehne Do
-
Nahi Main Mangta Tujh Se Phoolon Se Bhari Tehni Jo Jalta Hai Mere Dil Main Wo Aatash-dan Rehne Do
-
Teri Hasti Main Mana Ke Hum Basera Kar Nahi Satke Par Apni Soch Ka Kuch Pal Ke Liye Maheman Rehne Do
Submitted by iqbal designs


