Skip to content
SadPoetry
EN

Tasweer Aayi Zehan Mein Jab Us Janab Ki

Ghazal 9 couplets
Share
Make a card
  1. Tasweer Aayi Zehan Mein Jab Us Janab Ki Raton Ko Jaag Jaag Ke Neendain Kharab Ki

  2. Un Name Baaz Aankhon Ki Masti Mein Mast Hon Mujh Ko Nahi Hai Koi Zaroorat Sharaab Ki

  3. Be Chain Dil Ko Mere Sakun Ae Kis Terhan Uf Woh Jamal Yaar, Yeh Umrein Shabab Ki

  4. Meri Mohabbaton Ka Nah Un Pay Assar Sun-hwa Mein Raah Daikhta Raha Unkay Jawab Ki

  5. Yeh Falsafah Hai Meri Mohabbat Ka Doston Jis Se Bhi Ki Kkhuda Ki Qisam Be Hisaab Ki

  6. Deedar Husn, Jalva, Tabassum, Jamal Yaar Yeh Sab Diwaiyan Hai Dil Iztiraab Ki

  7. Qatal O Fasaad, Khoon Ke Chhentein Hai Har Taraf Yeh Kasnay Mere Hind Ki Haalat Kharab Ki

  8. Phir Se Azad Ho Ga Hindostan Mera Aawaz Uth Rahi Hai Suno Inqilab Ki

  9. Taalib Likha Hai Mein Ne Jo Lafzon Ki Shakal Mein Yeh Daastaa’n Ishhq Hai Meri Kitaab Ki

Submitted by Talib jaunpuri

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all