The ghazal
Read it in Urdu script-
Aab E Khunk Mein Doob Gaye Shams O Qamar Mere Ashk Ke Muqabil Nahi, Teri Aankhen
-
Jheel Nama Kya, Samاndar Nama Hon Gi Mere Dil Se Nahi Ghehri, Teri Aankhen
-
Khobsurati Nazare Main Nahin, Nazar Main Hoti Hai Meri Aankhon Ko Lagti Hain Khobsurat, Teri Aankhen
-
Labon Se Keh Rahi Ho Na Mila Karo Aur Khuch Aur Keh Rahi Hain, Teri Aankhen
-
Sagar O Pemaane Se, Waez Ne Dosti Karli Ban Gaye Rind Sufi, Jabse Dekhen, Teri Aankhen
-
Yunhi Badnaam Hai Meri Gustakh Naghahi Subah Se Shaam Tak Kitnon Ko Takti Hain, Teri Aankhen
-
O’ Toofaanoo Se Larnay Wale Sikandar Kyon Saahil Pe Doob Gayi, Teri Aankhen
-
“saahil”
Submitted by Shehzad Sadaruddin Saٰahil


