Nah Sahi Aur Par Itni To Inayat Karte

urdu-ghazal

Nah Sahi Aur Par Itni To Inayat Karte
Apne Maheman Ko Hanstay Hue Rukhsat Karte

Mabham Alfaaz Mein Hum Ne Tujay Kya Likha Hai
To Kabhi Rubaroo Aata To Wazahat Karte

Hmm Ne Gham Ko Bhi Mohabbat Ka Tasalsul Jana
Hum Koi Tum They Ke Duniya Se Shikayat Karte

Hum Ne Sookhi Hui Shaakhon Pay Lahoo Chhrhka Tha
Phool Agar Ab Bhi Nah Khultay To Qayamat Karte

Ki Mohabbat To Siyasat Ka Chalan Chore Diya
Hum Agar Pyar Nah Karte To Hukoomat Karte

Kitney Din Ho Gay Khamosh Ho Tum Kher To Hai
Waqt Milta To Zara Phone Pay Zahmat Karte

Tujh Ko Khonay Ka Suray Se Kabhi Socha Hi Nah Tha
Hum Agar Tujh Ko Nah Paatey To Baghaawat Karte

Goonjta Aata Hai Naraaz Havaon Ka Juloos
Ghar Mein Hotay To Charaghoon Ki Hifazat Karte

Rat-jage Aisay Ke Pathra Gayeen Ankhen Mnhas
Aankhh Lagti To Kisi Khawab Ki Hasrat Karte

Poet: Dr. Ali Zaheer Minhas

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments