Muzir Sahet, Mohabbat Se Muztarib Hi Achay
Ho Hi Jayen Ge Kisi Aur Mein Se Do Chaar Bachay
Kya Karne Kisi Se Waday Jhotay Ya Sachey
Iraday Un Ke Naik They, Ya They Kachay Pakkay
Woh Khud Aeye They Ya Hum Unn Ko Ja Kar They Phasay
Alfaaz Unhon Ney Bhi Kisay, Aur Hum Ney Bhi Kisay
Lekin Rehtay Agar Is Kaam Mein Dono Hi Datay
To Baqi Sab Ke Kaleje They Yuhn Phatay
Iss Kaam Ka Hona Tha Mushkil Magar Hum Nahi Hattay
Kyunkay Hum Ney Lagaye They Bohat Hi Attay Sattay
Roz Hotay They Sath Jeeney Marnay Ke Rattay Shattay
Un Ko Kya Khabar, Zindagi Yeh Hamari Kaisay Gi Ab Katay
Ab Haal Yeh Hai Ke, Woh Hum Mein Hain Rachay Basey
Haal Mein, Nah Hum Ko Un Ke Pattay, Nah Un Ko Hamaray Pattay
Muzir Sahet, Mohabbat Se Muztarib Hi Achay
Ho Hi Jayen Ge Kisi Aur Mein Se Do Chaar Bachay
Dr. Asad Aslam Khan