The ghazal
Read it in Urdu script-
Har Raat Karte Hain Sitaray, Mujh Se Baat Nai Hoti Hai Behas Unn Se, Har Raat Nai
-
Aankhh Se Girtay Hain Har Rang Ke Moti Har Baar Karta Hon Khairaat Nai
-
Ird Gird Hain Mojood Sabhi Dil Tootay Bana Raha Hon Mein Ik Zaat Nai
-
Kehte Hain Aashiqii Chor Chal Dil Torhin Suno Phir Ayen Gi Shikayaat Nai
-
Mujhe Muqaddas Hain Apni Riwayaat Porani Tum Rakho Paas Apni Riwayaat Nai
-
Mere Hum Dam Mil, Ke Aeye Hain Mausam Suhane Mil Ke Ayen Naye Baadal, Karen Barsaat Nai
-
Chore Kar Tujy Ja Basoon Door Kisi Bastii Mein Tujh Se Thak Gaya Hon Ishhq, Karni Hai Shuruvaat Nai
-
Jo Ki Hain Wohi Bohat Hain, Noman Aakhir Marnay Taq Bas Kar Ab Aur Na Karna, Mujh Par Inayaat Nai
Submitted by Numan Ijaz


