Apni Ana Ke Waaste Kya Kya Nahi Kiye

hasan nizami ghazal

Apni Ana Ke Waaste Kya Kya Nahi Kiye
Rona Tha Jis Maqaam Pe Hum Muskura Diye

Is Tarah Bhi Hayat-e-basar Apni Hogai
Mehfil Mein Jaa Ke Hans Liye Ghar Aake Roo Liye

Sar Par Hai Aasmaan Na Pairon Tale Zameen
Is Haal Mein Bataiye Kab Tak Koi Jeeye

Majbooriyon Ke Paon Ki Zanjeer Tum Hue
Hum Bhi Tumhari Yaad Mein Patthar Ke Holiye

Sare Badan Peh Pyaas Ka Baadal Baras Padha
Aankoh Se Nikle Aab Ko Kab Tak Koi Piye

Ghum Hogae Nigaah Se Manzil Ke Sab Nishaan
Andhi Hawa Se Bujh Ga’e Ummed Ke Diye

Hairat Zada Hai Log Bahut Mujhko Dekh Kar
Main Aa Gaya Hoon Bheed Mein Ehsaas Ko Liye

(Dr. Hasan Nizami – Saayadaar Dhop – Page 90)

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments