The ghazal
Read it in Urdu script-
Hum ne sab shair mein sanware thay Hum se jitne sukhan tumahray thay
-
Rang o khushbu ke husn o khoobi ke Tum se thay jitne istaaray thay
-
Tairay qoul o qarar se pehlay Apne kuch aur bhi saharay thay
-
Jab woh laal o gohr hisaab kiye Jo tre gham ne dil pay waaray thay
-
Mere daman mein aa giray saaray Jitne tasht fallak mein tarre thay
-
Umar e javed ki dua karte Faiz itnay woh kab hamaray thay



