The ghazal
Read it in Urdu script-
Aik hi geet lab pay subah o shaam hai Aur is geet mein bas tra naam hai
-
Is mein zarra barabar sadaqat nahi Be wafaon ka mujh pay jo ilzaam hai
-
Is ko tasleem karta nahi hai jahan Ishhq jis naay kya hai woh badnaam hai
-
Bol baala hai rishwat ka charon taraf Ho raha aaj har koi nelaam hai
-
Is ki ghutnon mein hai aqal ghazni miyan Shayron ko samjhta jo nakaam hai
Submitted by Ghazni


