The ghazal
Read it in Urdu script-
Yeh fakhr to haasil hai buray hain ke bhallay hain Do chaar qadam hum bhi teray sath chalay hain
-
Jalna to charaghoon ka muqaddar hai azal se Yeh dil ke kanwal hain ke bujhe hain nah jalay hain
-
Thay kitney setaaray ke sar-e shaam hi doobe Hungama sehar kitney hi khurshid dhaly hain
-
Jo jheel gaye hans ke kari dhoop ke tevar Taron ki khank chaon mein woh log jalay hain
-
Aik shama bujhai to kayi aur jala len Hum gardish e dauraa se bari chaal chalay hain


