Skip to content
SadPoetry
EN
Sawal yeh hai jo cheez jaisay dikhti hai

Sawal yeh hai

Ghazal 6 couplets
  1. Sawal yeh hai jo cheez jaisay dikhti hai Usay waisay hi paish kyun nah kya jaye

  2. Apne andar dabe awazon ko Bahar kyun nah laya jaye

  3. Raah se bhatak gay hain ensaan Unkay jazbaton ko ubhara jaye

  4. Kyun habs zada mahol mein Khud ko yun hi mara jaye

  5. Baatil ke khilaaf sab ko mila kar Aik hi awaz mein chekha jaye

  6. Bohat taskeen mil rahi hai aaj kal Kyun nah zakhamo ko kureda jaye

Submitted by Donpajji

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all