Gurbat ne cheenney sengaar kaisay kaisay
Aur phir dukhaay mujhe daar kaisay kaisay
Aik teri khatir mere yaar mein ne
Dil pay khaye hain waar kaisay kaisay
Raah e ulfat mein koi mujh se pouchye
Mein luta hon har baar kaisay kaisay
Kaisay batau ke meri gurbat ne
Gawaion hain mujh se yaar kaisay kaisay
Aaya jab bhi teesra shakhs beech mein
Mat pooch phir tootay aitbaar kaisay kaisay
Mushkil waqt hi to batata hai
Girtay hain yahan miyaar kaisay kaisay
Majboriyan chean layte hain sir ki chadar
Kmhilaty hain jism sar-e bazaar kaisay kaisay
Yeh shikwah yaad e yaran hai ke mein
Shab bhar bithaata hon mey khawar kaisay kaisay
Tujhe kya khabar Ahsin woh bitchrha sun-hwa shakhs
Chore gaya mujh mein assaar kaisay kaisay