The ghazal
Read it in Urdu script-
Mujh mein hain khamiyan yeh bta rahay hain Andhay mujhe aaina dikha rahay hain
-
Zulm hai ke khail qood ki umar mein Bachay baston ka boojh utha rahay hain
-
Us mein hai kashish saqal zamee jaisi Hum us ki janib kheinchain ja rahay hain
-
Kuch log namazain ada karne ke baad Hmsayon ki deewar gira rahay hain
-
Ab bhi kam shanaas hain yeh duniya walay Pathar ki khatir heray ganwaa rahay hain
Submitted by Mehar Ali


