Rudaad mohabbat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Do din ki musarrat kya kahye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Jab jaam diya tha saqi ney jab daur chala tha mehfil mein
Ik hosh ki saa-yat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Ab waqt ke naazuk honton par majrooh tarannum raqsaan hai
Beddad mushiyat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Ehsas ke me khanaay mein kahan ab fikar o nazar ki qandelain
Alaam ki shiddat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Kuch haal ke andhay saathi thay kuch maazi ke ayyar sjn
Ahbaab ki chahat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Kaanton se bhara hai daman dil shabnam se sulagti hain palken
Phoolon ki sakhavat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Ab apni haqeeqat bhi saghar be rabt kahani lagti hai
Duniya ki haqeeqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye