Mein hoon zarraa too agar aftaab apne liye
Tairay sapnay hain, mere tootay se khawab apne liye
Mein ne socha hai kisi roz chaman ko ja kar
Chuun ke lau ga koi taaza ghulaab apne liye
Jinn ki tabeer nhِin khawab woh dekhe mein ne
Shab guzashta hi to sulghaye woh khawab apne liye
Tees paaron ke taqaddus ki qisam khata hon
Noor ka dhara hai yeh pakeeza kitaab apne liye
Waqt ki dhoop ko chaon mein badal letay hain
Mein hon khaima to mِre dost tanaab apne liye
Kyun bhala kchche gharon pay bhi bharosa rakhen
Chore day rasta, dareaye chanab! Apne liye
Bahtay darya pay ravani hai, abhi zindah hain
Le hi lije ga koi tosha janab apne liye
Log, logon ka lahoo peetay hain to kuch bhi nahi
Aur hoti hai haraam sirf sharaab apne liye
Mein uthata hon abhi –apne gunahon ka boojh
Tum ne to chun ke kitabon se sawab apne liye
Aap ke paas hawiley hai agar, hogi janab
Mawra mehal se hai jhonpra, sahb apne liye
Hum bhi ik roz taraqqi ki dagar par hon ge
Baat yeh goya hai sehraa ka saraab apne liye
Koi jane se kisi ke nahi mrta hasrat
Sirf yaden hi to hoti hain azaab apne liye