Sochta hon woh ab kisay khafa karti hogi

urdu ghazal

Sochta hon woh ab kisay khafa karti hogi
Meri terhan majabuuriyon se wafa karti hogi

Jab tak shaamil hon is ki aarzoo mein
Mujhe yaqeen hai woh zindagi ki dua karti hogi

Aaina tanz karta hoga ankhen bhar aati hogin
Woh jab majabuuriyon mein saja karti hogi

Mein bhi yaad aata honga usay jab kabhi
Woh phir viran raastoon ko takka karti hogi

Itna to waaqif hon mein is ke mizaaj se
Mere naam par ghar walon se lara karti hogi

Rota hon shab bhar is ki tasweer dekh ke
Woh bheegi aankhon se khawab dekha karti hogi

Woh daar zabt mein yun bhi sar-e shaam kahin
Ansoo ki barf se aksar jala karti hogi

Rakhti hogi aaj bhi wohi pyaas labon pay
Rasm-e duniya mein honton se dagha karti hogi

Muddaton pehlay tujh se bichrri hoai larki ahsen
Ab bhi tujhe har mourr pay sanbhala karti hogi

Subscribe
Notify of
guest
1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments