Kabhi bula ke kabhi paas ja ke dekh liya
Fason e soze daroon aazma ke dekh liya
Bitha ke dil mein tumhe baar-ha namaz parhi
Tumahray ghar hi ko kaaba bana ke dekh liya
Mata-e zeist banay tairay naqash-e pa ki qisam
Woh ashk to ne jinhein muskura ke dekh liya
Tre siwa tri is kaayenaat mein kya hai
Jala ke dekh liya dil bujha ke dekh liya
Kaleem-e hosh ko kab, taab husn nzarah
Yeh toor e dil hai ke khud ko jala ke dekh liya
Banay woh shabnam o gul , andaleeb o saro o saman
Ngah-e shoq ne ansoo baha ke dekh liya
Nazar hai sheesha o saghar nazar hai mey wasif
Nazar ka jaam nazar ko pila ke dekh liya