Dekho to mere dil pay yeh jo chaala hoa hai
Iss wastay to pyar ko bhi taalla hoa hai
Haan kar do meri jaan agar aaya hai rishta
Aur larka bhi to dekha hoa, bhaala hoa hai
Sab chore ke aaye thay, magar ( aaj karachi )
Hum bichhre huoon ke liye ambala hoa hai
Mein kab ka bikhar jata gham e deher ke hathon
Bas gird mere gham ka tre jala hoa hai
Hota hoon akela to mujhe aa ke sambhale
Ik dard ke be dard sa jo paala hoa hai
Dukh dard kisi aur ka, be chain mera dil
Yun dard ke sanchay mein isay dhala hoa hai
Kya baat karon kya meri auqaat rafeeqo
Junbish ke liye lab pay mere tala hoa hai
Kya laaj rahi teri agar aaj baham hain
Ae pyar ke dushman tera munh kala hoa hai
Aankhon pay kahoon shair ya mein ghar ko sambhaloon
Hasrat ne parkhsa mein mujhe dala hoa hai