Kuch karna chaho

Kuch karna chaho to darna warna kaisa
Yaqeen ka bas ik diya jalana parta hai

Ik sifar laganay se cheezon ki qeemat bhi barh jati hai
Apni qeemat badhaane ko bhi sifar lagana parta hai

Insanon sa dikhne wala har ik to insaan nahi
Insaa samjhay jane ko ehsas jagana parta hai

Mushkil manzil dekh ke ghar ko wapas nahi mura karte
Jitni bhi raftaar ho lekin qadam uthana parta hai

Jevan mein sab acha ho, yeh to na mumkin hai yaar
Sooraj ko charhne se pehlay doob ke aana parta hai

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments