Skip to content
SadPoetry
EN

Baras Jao Kisi Din – Amjad Islam Amjad Ghazal

Amjad Islam Amjad Ghazal 5 couplets
Share
Make a card
  1. Chehray Pe Mere Zulf Ko Phlao Kisi Din Kya Roz Garjte Ho, Baras Jao Kisi Din

  2. Razon Ki Tarah Husn Ki Barish Main Naha Lo Badal Ki Tarah Jhom Ke Ghir Aao Kisi Din

  3. Khusbo Ki Tarah Guzro Meray Dil Ki Gali Se PHolon Ki Tarah Muj Pe Bikhar Jao Kisi Din

  4. Guzrain Jo Mere Ghar Se Tu Ruk Jaen Sitare Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kis Din

  5. Main Apni Har Ik Sans Usi Raat Ko De Doon Sar Rakh Ke Mere Senay Pe So Jao Kisi Din

Report a mistake

More by Amjad Islam Amjad

All poems