The ghazal
Read it in Urdu script-
Wo Ju Doodh Shahid Ki Kheer Thi Wo Jo Narm Masl-e Hareer Thi Wo Jo Aamle Ka Ichar Tha Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha
-
Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
-
Jo Hirn Ke Seikh Kabab Thay Wo Jo Aap Apna Jawab Thay Wo Jo Quettay Ka Inar Tha Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha
-
Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
-
Wo Jo Saib Zeenat-e Bagh Thay Wo Jo Shakh Shakh Chiragh Thay Wo Jo Aalon Ka Bukhar Tha Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha
-
Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
-
Wo Raqeeb Ke Jo Baghair Thi Wo Jo Chand Raat Ki Sair Thi Wo Jo Ihd-e Fasl-e Bahar Tha Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha
-
Muje Sab Hain Yad Zara Zara Tumhain Yaad Ho Ke Nad Yaad Ho
-
By Anwar Masood.



